Poem- Dood Waala

<I love Milk !! :D :D>
<Its mostly in hindi language, Sorry :P>

Dood Waala ! 


Once upon a time, there was A dood-waala,
Naam tha uska Ramesh Nadal,
But he was very kaala,
So dont confuse him with Rafael Nadal.

Uske doodh me there was always excess of masala,
Lekin phir bhi taste tha uska kamaal,
Wo keheta tha "Mere paas hai Aik luck ki Maala"
Jiski wajah se tha wo ab malamaal.


Around the same time, there was also Babu Chawla,
Uska dood was not that kamaal,
Dont confuse him with Juhi Chawla,
Kyuki uske paas the kaafi jagah par Baal ;)


He was very jealous of Number1 dood waala,
Ho gaya tha wo Behaal,
Tha wo bohot lambii moocho waala,
Hence the above mentioned Baal :P



"Kaha se laata hai itna tasty dood ye Saala",
Sochta tha Babu Chawla poore saal,
So he decided to steal his luck ki maala.
Without the consequences of Bhavishyakaal.


To phir Todh daala usne uske ghar ka taala,
And entered with hirni jaisi Chaal.
Tha wo bohot himmat waala,
Kyuki kaafi pehelwaan type tha Ramesh Nadal.



Andar pohochte hi darr gaya Chawla,
Kyuki saamne khadhi thi Mrs. Nadal,
But kyuki tha wo bohot himmat waala,
Usne poocha "Madam kaha se aata hai aapka dood har saal??" :P


Ye sunkar jaag padha Mrs.Nadal ka amygdyla,
Aur laga diya kheecha ke on his Gaal,
Bola "Ye bhi koi poochne ki baat hai Chawla,
Humri bhaisviya Karti hai doodh ko nikaal"!!


Very embarassed Mr. Babu Chawla,
Said"Hume maaf kardijiye Mrs. Nadal,
But then what about jaaduyi maala??"
Ye sunkar Mrs. Nadal was like all LAWL !


She said"Chawla, Doobja into a Naala!
This maala is not the jewellery waala maal,
Humri bhais ka naam is Maala,
Uski Seva karte hai hum with roti n Daal.



Ye sunkar samajh gaya Mr. Chawla,
Ki apni bhais se lagaav was the raaz of Mr. Nadal,
Nahi hota hai koi shortcut ka taala,
Success paani hai to mehnet karni padhegi Har Saal !

Isiliye Oh Mere Dosto !
Bohot sun liya OLa La, OLa La,
Bohot vella-panti kar li Oh mere Lal,
Vit-B deficeincy se ho sakta hai mooh me chaala !

Apne andar ke hidden talent ko aaj hi Nikaal !

<Yes, I am 19 year old, not a kindergarten student :p>










Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Gap Year NEET PG 19

Intro: Cracking NEET PG

Post NEET 18 Result (1st attempt)